Man ki Shakti

Man ki Shakti

Jai Sri Krishna !
Man se bda mitra or man se bda Shatru koi nahi hota .Jo jaisa sochta hai dunia use waisi hi dikhai deti hai.Man ko jeeet liye to uske liye kuchh bhi asambhav nahi.Man ka ek soch aapko daan veer Karn bna sakta hai or wahi aapko bhikhari bhi.Chaliye aapko  mai man ki shakti ki kahani sunata hu.Kahani hai lajawab to dhyan se suniyega ,or aap ese jeevan me utar ke dekhiyega.
Ek aadmi akele ghar se nikal pda .Wo chalta gya ,chalta gya or bahut dur nikal gya .Chalte chalte wo registan me pahucha ,jab dopahar ka suraj apni garmi se jlane lga use khub jor se pyas lagi.Wo dur dur tak najar utha ke dekha bas ret hi ret the charo traf.Tabhi use achanak se kuchh dur pe ek bahut ghana ped dikhai diya .Par hairani ki baat ye thi ki inte bade registan me itna ghana pet kaise .Wo us ped ke neeche pahuche ,apar thandhak mili lga ki koi apne ghar me bula liya ho.Ped ki sheetal chhaya itni achhi lagi ki wo wahi let gya, par bahut dur chalne se bahut joro ki pyas lagi thi.Wo man me socha kaash yha pe kuwa hota man ki pyas mit jaati,itna sochte hi wha dekhte hi dekhte kuwa ban gya .Wo puri trah se hairan ki ye kaise hua.Wo kuwe se paani piya or lga ki use nya jeevan mil gya hai.Wo wahi let gya fir sochne lga kaaash yha kuchh khane ko mil jata to prabhu ki bahut kirpa hoti,tabhi achanak se wha pe na na prakar ke bhojan aagye.Wo fir hairan ki ye kaise hua .Wo bhojan kiya or let gya fir wo sochne lga ki khane ke baad mulayam bistar mil jate to sone me aanand hi aanand,fir kya tha wha bistar aa gye wo us pe let gya or sochne lga ki kahi ye sab koi Bhut to nahi bhej rha ,uske itna sochte hi wha Bhut aagye or uske charo or ghumne lage.Ye sab jab wo dekha fir sochne lga ki ye Bhut use kha na jaye or fir kya tha itna sochte hi bhut use nigal gye...........
Ab mai is kahani ka mul Sandesh btata hu wo jo aadmi ret me bhatak rha koi or nahi hamlog khud hai or wo ped khud man hai. Hamlog jaisa sochte hai bahar ka vatawarn waisa ban jata hai .Hame duniya waisi hi dikhai deti hai jaisa ham kalpana karte hai .Isiliye apne man ko hamesa sakaratman urja se  bhare rakhe dekhiyega jeevan amrit ban jayega.

Dhanyavaad!

jai Shari Krishna

Piyush   

Post a Comment

0 Comments